Tujhy Dard Doo Tu Naa Seh Sake Poetry In Urdu
Kabhi Mil To Tujh Ko Bataye Hum
Tujhy Iss Tarha Se Sataye Hum
*---------------------*
Ek Soch Aqal Se Phisal Gai
Mujhy Yaad Thi Ke Badal Gai
Meri Soch Thi Kya Wo Khawab Tha
Meri Zindegi Ke Hisab Tha
Meri Justajo Ke Baraks Thi
Meri Mushkilo Ka Wo Aks Thi
Mujhy Yaad Ho To Wo Soch Thi
Jo Na Yaad Ho To Wo Guman Tha
Mujhy Bethey Bethey Guman Hua
Gumaan Nahi Tha Khuda Tha Wo
Mera Soch Nehi Tha Khuda Tha Wo
Wo Khuda Ke Jiss Ney Zuban Di
Mujhy Dil Diya Mujhy Jaan Di
Wo Zubaan Jisay Na Chala Sake
Wo Dil Jisay Na Mana Sake
Wohi Jaan Jisay Na Laga Sake
Kabhi Mil To Tujh Ko Bataye Hum
Tujhy Iss Tarha Se Sataye Hum
Tera Ishq Tujh Se Hi Cheen Kar
Tujhy Maa Pila Ke Rulaye Hum
Tujhy Dard Doo Tu Naa Seh Sake
Tujhy Doo Zubaan Tu Na Keh Sake
Tujhy Doo Makaan Tu Naa Reh Sake
Tujhy Mushkilo Mai Ghiraa Kar
Main Aisa Rasta Nikal Doo
Tere Dard Ki Mein Dawa Karu
Kisi Garz Ke Main Siwa Karu
Tujhy Har Nazar Pey Aboor Doo
Tujhy Zindegi Ka Shaoor Doo
Kabhi Mil Bhi Jayengge Ghum Naa Kar
Hum Ghir Bhi Jayengge Ghum Na Kar
Tere Ek Hone Mai Shaq Nahi
Meri Neyatoon Ko Tu Saaf Kar
Teri Shaan Mai Bhi Kami Nahi
Mere Iss Kalaam Ko Tu Maaf Kar
****
Comments
Post a Comment